NohayOnline

Providing writeups (English & Urdu text) of urdu nohay, new & old

Home Salaam Marsiya

Zaeefa kaun ho

Nohakhan: Farhan Ali Waris
Shayar: Zeeshan Abidi

safar mein naiza jab zaalim ne maara
giri naaqe se ghash kha kar sakina
khuli jab aankh to manzar ye dekha
hai godhi mein liye koi zaeefa

tha chehre naqaab uske laga tha khoon haathon pe
na jaane kya khayaal aaya sakina ne kaha ro ke

suno khamosh kyun ho tum hamari jaan jaati hai
tumhare paas se baba ki mujhko khusboo aati hai
sakina ko batao na zaeefa kaun ho tum

sakina par bahot din baad aisa waqt aaya hai
kisi ne pyar se aaghosh mein apni sulaya hai
gaye hai jab se baba chod ke sab ne rulaya hai
mere nazuk se ruqsaron pe bhaari haath uthaya hai
magar tum ne mere gaalon pe jab se haath phera hai
kami hai dard mein tum se koi to rishta mera hai
sakina ko batao na...

kabhi mujhko giraane ke liye maara hai durre se
kabhi rahwaar daudaya kabhi maara hai naize se
usay maloom tha mar jaungi tezi se girne se
layeen ne jaan kar mujhko giraya chalte naaqe se
agar thaama nahi hota mujhe tum ne yahan bibi
meri daadi ki tarha toot jaati phasliyan meri
sakina ko batao na...

hamesha se mera bistar mere baba ka seena tha
magar ek din phupi ke saath ye maqtal mein dekha tha
mera baba ka qaatil bhi usi seene pe baitha tha
gulu e khushk par khanjar se gin kar waar karta tha
laga hai jo tumhare haath pe wo khoon kiska hai
hai zakhmi ungliyan jaise kisi khanjar ko roka hai
sakina ko batao na...

mere cheene hai gohar taaziyane bhi lagaye hai
gala rassi mein baandha berida bazaar laaye hai
sar e abbas ke aage tamache maine khaaye hai
safedi aa gayi baalon mein itne gham uthaye hai
zaeefon ki tarha se ab sahara le ke chalti hoo
ke ab mai chaar barson mein tumhare jaise lagti hoo
sakina ko batao na...

mai saydani hoo aur is baat par mai faqr karti hoo
magar ek zakhm aisa hai mai jis se roz marti hoo
mujhe dete hai sab sadqa jahan se bhi guzarti hoo
nazar jab shimr aata hai to chup jaati hoo darti hoo
jo burqa tum ne pehna hai ye sayyed zaadiyon ka hai
batao kya yahan tum ko meri daadi ne bheja hai
sakina ko batao na...

yahan koi nahi aayega hai chaaron taraf sehra
naqaab apna hatao dekh loo ek baar mai chehra
na jaane kyun mujhe yaad aati hai daadi meri zehra
meri tarha tumhare rukh pe bhi kya zakhm hai gehra
mere chehre pe zaalim ki anguthi ke nishano ka
zaeefa waasta tum ko mere in zakhmi kaano ka
sakina ko batao na...

ye sunte hi zaeefa ne kaha mai teri daadi hoo
tere baba ka khoon haathon pe apne saath laayi hoo
tujhe rahwaar se girte huwe na dekh paayi hoo
jabhi tujhko bachane karbala se shaam aayi hoo
kaha zeeshan aur farhan bacchi se ye zehra ne
naqaab apna hata doongi na ab poochna hum se