zindaan ke andhere me sakina kay thay naale ay paalne waale ay paalne waale kya dekh na paoongi mai ab ghar ke ujaale ay paalne waale ay paalne waale
ya rab na koi dekhay meri aisi yateemi aur aisi aseeri taqdeer kisi aur ko zindaan may na daale ay paalne waale....
phir dekhloon ek baar mai darya ka wo manzar ammu hai jahan par ye faasle maalik meri aankhon se hataale ay paalne waale...
mai haaye chacha kehkay jo hojati hoon giriya ro dete hai phupiyaan lekin koi kis tarha bhala ashq sambhaale ay paalne waale.....
paidal rah-e-koofa mai kayi meel chali hoon naazon ki pali hoon takleef bahut detay hai ab paaon kay chaalay ay paalne waale....
mar jaunge ghut ghut ke sukoon pa na sakoongi ghar ja na sakoongi kya ab na khulengay kabhi zindaan ke taalay ay paalne waale.....
mabood mujhe zindagi apni nahi pyari bemaar pe waari bhai mera zinda rahe tu mujhko uthaale ay paalne waale....
kya hogi isi qaid may ek din meri turbat haye meri ghurbath ho jaungi zindan ke mitti ke hawaale ay paalne waale....
moula tujhe zindan ki us sabr ki qasme us khabr ki qasme nayyar ko zamane ki buraon se bachale ay paalne waale
|
|