tashnalab mazloom sarwar alvida fatima zehra ke dilbar alvida
shane majlis tha tumhara zikre gham rounaqe mehrabo mimbar alvida
hai jawani bhi wa-baale zindagi ab tumhare gham may akbar alvida
lijiye auno mohammad ab salaam saabira zainab ke dilbar alvida
dil se ab nakshe wafa mit-ta nahi jao abbas-e-dilawar alvida
majliso may humko rota choad kar muskurate jao asghar alvida
ab na zainab jaogi tum sar khule nazr hai ashkon ki chadar alvida
rote hai baqir muhibbane hussain kehte hai sibte payambar alvida
|
|