tadapna wo akbar ka keh keh ke pani jhijhakti qaza aur ujadti jawani
serhane pisar ke pidar sun raha hai har hichki ki awaaz may pani pani
na zainab ki dharas na maa ka sahara bhare ghar se rukhsat hui hai jawani
qayamat hai ab inqelabe zamana zaeefi ke haaton se uthti jawani
ubalte hai abbas ke run may aansu tapakta hai mashke sakina se pani
jab asghar hamakte hai haaton pe sheh ke ubalta hai darya chalakta hain pani
hai ab jalte qaimo may majboor abid bahot paas sholay bahot door pani
wo darbare haakim wo lakhon ka majma wo bhai ka khissa wo behen ki zabani
rahe neel bazue zainab pe baaqi watan ko gayi karbala ki nashani
|
|