salam khaak nasheeno pa sogwaron ka ghareeb dete hai pursa tumhare pyaro ka
salam un pa jinhe sharm khaaye jaati hai khule saron pe aseeri ki khaak aati hai
salam us pa jo zahmat kashe salaasil hai musibaton may imamat ki pehli manzil hai
salam bhejte hai apni shahzadi par ke jisko sawnp gaye marte waqt ghar sarwar
musafirat ne jise bebasi ye dikhlayi nisar kar diye bache na bach saka bhai
aseer ho ke jise shaamiyo ke narghay may husainiyat hai sikhaana ali ke lehje may
sakina bibi tumhare ghulam haazir hai bujhe jo pyas to ashkon ke jaam haazir hai
ye sin, ye hashr ye sadmay naye naye bibi kahan pa baithi ho qaime to jal gaye bibi
pahaar raat bari der hai sawere may kahan ho shaam-e-ghareeban ke ghup andhere may
zameen garm, yateemi ki sakhtiyan bibi wo seena jis pa ke soti thi ab kahan bibi
janaab-e-maadar-e-baysheer ko bhi sab ka salam ajeeb waqt hai kya dein tasalliyon ka payam
abhi kaleje may ek aag si lagi hogi abhi to godh ki garmi na kam hui hogi
nahin andhere main kuch soojhta kidhar dhundhen tumhara chaand kahan chhup gaya kidhar dhundhen
na is tarah koi kheti hari bhari ujdi tumhari maang bhi ujri hai godh bhi ujdi
nahi layeeno may insaan koi khuda hafiz darinde aur ye be-warisi khuda hafiz
shareek-e-haq darood-o-salam-e-payghambar salam sayyid-e-lawlaak ke lute ghar par
salam mohsin-e-islam khasta tan laasho salam tum pe shaeedon ke be kafan laasho
salam tum pe rasool-o-batool ke pyaro salam mehr-e-shahadat ke gird sayyaro
bache to agle baras ham hain aur ye gham phir hai Jo chal base to ye apna salaam-e-aakhir hai
|
|