nanha sa ek sipahi godhi may aa raha hai
ghurbat ka bekasi ka badal sa cha raha hai sab kat gaye mujhaid qaimo may kya raha hai nanha sa ek....
khuddariyo se lab par aahein tehar gayi hai ruk ruk gayi hai saansein nafsein tehar gayi hai tehra hua wo jhoola kya dil hila raha hai nanha sa ek....
kaisi luti hai basti kaisi miti hai jaanein kya shukr kar rahi hai sookhi hui zubanein kya sabr bad raha hai kya zapt cha raha hai nanha sa ek....
sattar ki maut dekho aur do pahar ko dekho asghar ke sin ko dekho uske jigar ko dekho jo dashte karbala may daulat luta raha hai nanha sa ek....
aisay kahin sipahi dekhe nahi aneele maa ki taraf se koi rukh ki balayein lele pehle pahal mujahid maidan ko ja raha hai nanha sa ek....
ye zindagi ki pehli karwat hai raas aaye shabbir la rahe hai ghar se galay lagaye aur maut ka firishta aankhein bicha raha hai nanha sa ek....
nanha sa ye musaafir dehkho rahe riwa ka tareekh usko faateh likhengi karbala ka jhoole ko chor kar jo maqtal basa raha hai nanha sa ek....
saare jahan se kehdo kaun o makan se kehdo ye roohe karwan hai har karwan se kehdo pyasa hai teen din ka aur teer kha raha hai nanha sa ek....
sajjad ki shabahat akbar ki shan hota ay maut kaash aisa bacha jawan hota do din ki zindagi may tewar dikha raha hai nanha sa ek....
|
|