mujrae qalq may in ankhon ne kya kya dekha par kaheen sibte payambar sa na aaqa dekha
maine dekha alam e shah ko aaluda e khoon maine abbas ko bejaan labe darya dekha
maine dekha ali asghar ka gala khoon may tar maine zaqmi ali akbar ka kaleja dekha
ek ghatri shahe deen pusht pe laaye usmay maine tukde huye qasim ka sarapa dekha
berida qalq ne us bibi ke sarko dekha jiski maadar ka kisi ne na janaza dekha
kehti thi zainab e muztar ke khuda qair kare raat ko khaab may uryan sar e zahra dekha
gir pade sibte nabi thaam ke haathon se jigar ali akbar ko jo reti pe tadapta dekha
haye kyun ho na gayi kaur ke in aankhon ne qaaid khane may sakina ka janaza dekha
jaake zainab ne madine may kaha sughra se kahoo kis moo se ke pardes may kya kya dekha
zulm ay mujraee sajjad ne kya kya dekha ghar luta qaid huwe baap ka laasha dekha
|
|