matti ko bhi shifa ka wasila bana diya sarwar ne karbala ko masiha bana diya
sar ta qadm kuch aisay sawara hussain ne akbar ko mustafa ka sarapa bana diya matti ko bhi shifa.... aakar uroos e teygh nay qasim ke haath may maidaan e kaarzaar ko dulha bana diya matti ko bhi shifa....
abbas ne hunar say tadabbur say sabr say darya ko pyaas pyaas ko darya bana diya matti ko bhi shifa....
shahid hamay khuda ne aza e hussain par insaniyat ki aankh ka taara banadiya matti ko bhi shifa....
bibi ko har qadam pe hai izzat ka apni paas chaadar nahi to baalo se parda bana diya matti ko bhi shifa....
|
|