laash akbar ki jo maqtal se utha laaye hussain nowjawan ko safe awwal se utha laaye hussain di sada laashe pisar aan ke leja baanu chid gaya barchi se akbar ka kalaija baanu laash akbar ki....
dekhle aakhri deedare pisar marta hai saamne aankhon ke ye noore nazar marta hai dum hai seene may ruka zaqmon se khoon jaari hai haaye baanu tere ghar lutne ki taiyaari hai laash akbar ki....
pahunchi qaime may jo hazrat ke ye purdard sada muztarab hogayi namoose rasoole do sara peet-ti zainab e muztar nikal aayi bahar baanu ghabra ke khule sar nikal aayi bahar laash akbar ki....
roke banu se ye farmane lage sarware deen sar na peeto abhi zindan hai mera maahe jabeen sab chute ab na raha koi hamara baanu is jawan bete ke gham ne hame maara baanu laash akbar ki....
|
|