bole beti se sibte payambar baad mere na rona sakina zid na karna mujhe yaad karke maa ki godi may sona sakina
hum bahot door jayenge bibi ab na surat dikhayenge bibi hum bahot yaad aayenge bibi tum na bechain hona sakina
baad mere tu dukhyari hogi tujhko eeza badi pyari hogi zindagi phir tujhe bhari hogi tujhko hai qaid hona sakina
shimr kodon se dega aziyath aur tamachon se hogi himayath tumko dega yateemi may zehmat yaad apni na khona sakina
meri furkhat may girya kare gar ya unhe yaad aayenge asghar maa ko rone na dena tum dilbar moo pe moo rakhke sona sakina
lash par meri jab tum lipat kar ro-ogi meri ay jaane dukhtar kode maarega shimre badakhtar hai ye sab tumko sehna sakina
bibi aaye tumhein gar meri yaad roke karna na tum zaaro faryaad warna tumpar bahut hogi edaad maar khana na rona sakina
|
|