asghar ko khatl gaah may laye hussain jab rote huwe faraat ne dekhe wo sukhe lab asghar ke hont sukhe huwe pyas ke sabab dekhe to khud pukaar ke bola jahan tarab ay jibraeel kehdo zara bas hussain bas ab imtehan qatm....
roze qalam pe arsh pe rotay thay ambiya hillay may teer jod raha tha jo hurmala is imtihaan-e-sabr se khud maut ne kaha bano ke mehlekha ko bacha bas hussain bas ab imtehan qatm....
isa jigar-figaar thay musa bhi ashk baar yaqoob de rahe thay sada roke baar baar karbobala may thi yahi ayub ki pukaar moo ko kaleja aane laga bas hussain bas ab imtehan qatm....
kehte thay nooh apne safine ko chod kar gardish may na aaye kahin phir se behrobar sar ko jhukake kehte thay yun nusba chashmetar are manzar hai dardnaak bada bas hussain bas ab imtehan qatm....
salman apne taqte hawayi pe rote thay yusuf ye zulm dekh ke behosh hote thay dawood kashte kalb may ashkon ko botay thay adam ki aa rahi thi sada bas hussain bas ab imtehan qatm....
tadpa jo teer khaake wo bano ka nownehaal asghar ke khoon se chehraye sarwar huwa jo laal kehne laga rasool se tab rabd-e-zuljalaal kahiye ke zakt had se bada bas hussain bas ab imtehan qatm....
zainab jo apne bachon ke marne pe chup rahi jo aakife mizaaje shahe tashnaqaam thi us waqt uske sabr ki deewaar gir gayi boli gira ke sar se rida bas hussain bas ab imtehan qatm....
umme rubaab jhoolay se lipti ye kehti thi ya rab mujhe azeez hai asghar ki zindagi kuch bhi teri kaneez ne maanga nahi kabhi de hukm sheh ko mere khuda bas hussain bas ab imtehan qatm....
aakhir rehaan azmi di rab ne ye sada hai imtehane sabr ki shabbir inteha jibreel bole ab hai yahi marzi-ye khuda karbobala se arsh pe aa bas hussain bas ab imtehan qatm....
|
|