ay chand karbala ke, tu ne to dekhe hongay utray thay is zameen par, arshay bari ke taare
ay chand jalwagar hai hashim ka chand yan par khairaat roshni ki lelijiyo yahan se ay chand....
ay chand is zameen par rakhiyo hamesha thandaq sotay jo hai yahan par zehra ke hai ye pyare ay chand....
tasleem-o-salsabeelo kausar ke hai ye maalik maare gaye jo pyase is nehr ke kanare ay chand....
hur aur habeeb jaise jaanbaaz aur ahibba maare gaye yaheen par ansaar shahe deen ke ay chand....
maare gaye yaheen par be-dardiyo sitam se zainab ke dono pyare muslim ke dono bete ay chand....
pamaal ho rahi thi qasim ki laash ran may abbas aur sarwar chunte thay unke tukday ay chand....
baazu katay yaheen par abbas-e-bawafa ke izne wagha na paaya pani bhi laa na paaye ay chand....
is sar zameen pa guzra sarwar pa ye bhi sadma seene pa khaayi barchi hamshakle mustufa ne ay chand....
pani pilaane laaye ek mehlaka ko sarwar ki ghazab hurmula ne teere sitam lagaake ay chand....
gardan chidi pisar ki baazu chida padar ka dono tadap tadap kar pyase jahan se guzre ay chand....
is ban may ek bachi baba ko dhoondti thi bikhre huwe paday thay jab sar bureeda laashar ay chand....
phir yeh bhi tu ne dekha woh gham raseeda bachi seene pa so rahi thi besar padar se lipte ay chand....
baazu bandhay yaheen per pehle pahal haram ke is sar zameen se niklay sajjad sar jhukaye ay chand....
shehzadaye jina hi maalik hai karbala ka kiski majaal aaye jab tak na wo bulaaye ay chand....
pahuncha hai karbala may nacheez sibte jafar ay kaash ke muqaddar humko ye din dikhaye ay chand....
|
|