ashoor ka suraj kehdega khamosh kinara kehdega jo baat ke asghar keh na sake behta hua darya kehdega
kis tarha jawani khaak hui laila ka kaelja kehdega behte hue aansoo kehdenge utra hua chehra kehdega
ahmed ki nawasi ka aalam uth-ta hua parda kehdega kis tarha chini sar se chadar jalta hua qaima kehdega
kis tarha gaye asghar ran may abaad hui kyonkar turbat bano ki udasi kehdegi ujda hua jhoola kehdega
akbar ki ajal aayi pehle ya barchi ka phal nikla pehle shabbir ki kismat kehdegi akbar ka kaleja kehdega
ummat ke liye asghar aaye pani na mila pyase hi gaye chup hogi agar nanhi si lehad ujda hua jhoola kehdega
nawak ki khatak dil ki himmat ummat pe nazar baba ka khayal kya raaze khuda samjhe asghar hasta hua chehra kehdega
har gaam pe thokar kha kha kar jab baap pisar ko dhoondega kis samt hai akbar ki mayyat uljha hua rasta kehdega
mashkeeza chida pani to baha mayyat na hati turbat hi bani darya ki tarayi kiski hai abbas ka rauza kehdega
shadi se gharaz shadi kab thi ye dars e alam tha dunya ko kuch dayr ka dulha kehdega ujda hua sehra kehdega
jo baat ke asghar keh na.... ashoor ka suraj kehdega....
|
|