ab sakina may dam kahan amma ab to khulwao reesma amma
kam ye zindan nahi hai turbat se maut behtar hai aisi dehshat se dam ghuta ja raha hai wehshat se shamma bhi to nahi hai kismat se kaisa tareek hai makan amma
kaan zakhmi kiye liye lo lo aur phir is pa hukm hai ke na ro ye ghazab bhi ajeeb hai dekho mai jo roti hoo apne baba ko shimr deta hai ghurkiya amma
log dete hai kya yuhin pursa dono ruqsaar mere dekhiyega dega kitni yateem ko eeza poochiye shimr se baraye khuda kitne kha'oon mai seliyan amma
kisme haalat hai maar khane ki koi surat karo bachane ki kya mai khaabil hoo taaziyane ki shimr ki phir khabr hai aane ki ruk rahi hai meri zuban amma
kis khadar hai ye shaki ke dil may tad maarta hai jo dam ba dam murtad ho chuki ho chuki sitam ki had mere marne ke baad hi shayad shimr kholega reesma amma
wa hussaina ka haye wo naala haye sone mujhe nahi deta qaid khane ke paas hi hai goya suboh tak naam leke baba ka aake roti hai dadi jaan amma
chaahne wale hi na ho jiske qaid khane may kyun na wo roye wo juda humse hum juda unse karbala me hai karbala wale kya kare reh ke hum yahan amma
baba lejane aagaye lejiye mujhko ab khibla roo litadije itni takleef aur bhi kijiye padne yaseen unse kehdije ghash se utthe jo bhai-jaan amma
li jo bachi ne maut ki hichki ya ali kehke ghash huwi maa bhi aake sab jama hogaye qaidi kehke nadaan ye margayi hilmi ab to khulwao reesma amma
|
|