|
|
aa
|
|
|
|
aaqmi sina se ran may jo sheh ka pisar huva har simt se laeen har ek hamlawar huva tar khoon may marqae qairul bashar huva aqir juda iqaab se wo seenbarr huva maqtal may kya hujoom tha us noore ain par parwane gir rahe thay chirage hussain par
girna tha bas ke sar pa laga gurz aye sitam tun jhuk gaye ke hote hai sajde may jaise qam rakhdi gale pa sheesh ne shamsheere tez dum talwar ek padi ke hui phasliyan qalam ghul tha karo na rahm tan-e-paash paash par dowda do ghode akbare mehroo ki laash par
hazrat khade thay qaime ki pakde hue tanaab sun kar ye ghul rahi na dile naatawan ko taab nagaah aayi ran se sada ay falak janab beta jahan se jata hai ab aaiye shitaab laashe pa zulme jor badh af-aal karte hai ghodon se ahle keen hamay pamaal karte hai
sunkar ye ishtaghasa farzande khush qisaal sayyad ne aah ki hila arshe zuljalaal khole janabe fatema ki betiyon ne baal bano pukari qair to hai ay ali ke laal hai hai pisar se kaunsi maadar bichad gayi sahab batao kya meri basti ujad gayi
naize se kiske laal ka zakhmi hua jigar karte hai kiski laash ko pamaal ahle shar kehta hai haun ran may tadap kar pida pidar ab ghar se mai nikalti hoo ya sayyedul bashar parda na mujse kijiye sab jaanti hoo mai awaaz ye usi ki hai pehchanti hoo mai
bano ko qasmay deke chale shahe naamdar wo pyas aur wo dhoop ka sadma-o-izteraab dil tha ulat palat to kaleja tha beqarar uth-te thay aur zameen pa girte thay baar baar chillate thay shabihe payambar hum aate hai ghabraiyo na ay ali akbar hum aate hai
aa-un kidhar ko ay ali akbar jawab do chilla rahe hai dewdi par maadar jawab do akbar baraae qaliqe akbar jawab do beta jawab do mere dilbar jawab do girte hai hum sawab ka hathon se kaam lo beta zaeef baap ke bazu ko thaam lo
laashe pisar ko dhoondte thay shahe behrobar sar peetne ki ja hai ke hanste thay ahle shar kehta tha shumr ay pisar syed-ul-bashar kisko huzoor dhoondte hai margaya pisar khud dhoond lijiye jasad-e-paash paash ko batlaenge na hum ali akbar ki laash ko
ye sunke khaynch li shehe wala ne zulfiqar chanki jo barq taygh to bhaage sitam shiaar sheh ko nazar pada ali akbar ka rahwaar chillaye ay aqaab kidhar hai tera sawaar dikhlaade mujko laash mere noore ain ki kis dasht may padi hai biza-ath hussain ki
ghode ne hinhina ke suye dasht ki nazar yaane ke laash aapke pyare ki hai idhar jaata tha aagay wo taazi bachashme tar ghode ke peeche haate thay hazrat barehna sar jungal may laashae pisar-e- naujawan mila wo mehlaqa mila pa magar neem jaan mila
hichki ke saath kehte hai wa karke chashme tar ay jaane jism zaar may ek dum zara tehar ay maut bewatan ki jawani pa reham kar ay dard tham zara ke pahadakta hai ab jigar phir ek baar sayyade wala ko dekhloo mohlath bus itni de ke mai baba ko dekhloo
dushman ko bhi na bete ka laasha khuda dikhaaye hazrath zameen pa girke pukaare ke haaye haaye zinda rahe ye peer jawan yun jahan se jaaye ay laal teen roz ke faaqe may zaqm khaaye shayad jigar ke zaqm se tum beqaraar ho zaqmi tumhari chaati pa baba nisaar ho
|
|
|
|
|
|
|