|
|
|
|
|
|
kehti thi ran may aake sakina jawab do jaane nabi-o-fatema zehra jawab do kyon so rahe ho khaak pa tanha jawab do aayi hoo tum ko dhoondne iss jaa jawab do marti hoo tum pa mere masiha jawab do baba jawab do mere baba jawab do
zakhmi huwe hai kaan mere chin gaye gowhar kis se kahoon ke zakhmo'n may hai dard-e-bestr faryad tumse karne mai aayi hoo ay pidar hai khabiley mulahiza ye haal sar ba sar dekho ye khoon bhara huwa kurta jawab do baba jawab do mere baba jawab do
qaidi banakey shaam ko ley jaatey hain hamey pursa nahi hai koi ke kuch insey ham kahey faryad ghamzadon ki na Hazrat bhi gar suney kab tak in afato'n mein rahein aah kia karey kya keh rahi hoon sayyad-e-wala jawab do baba jawab do mere baba jawab do
ay jaan-e-fatema-o-payghambar utho utho ay noor-e-ain faatah khyber utho utho dekho aseer ho gayi khwahar utho utho chilla rahi hai aap ki dukhtar utho utho kya so rahe ho beti ke shayda jawab do baba jawab do mere baba jawab do
be-gor kaun pade hai tumhare rafeeq sab laashe ye jalti reti pe mai dekhti hoon jab hota hai mere dil pe dubala gham-o-taab dafnata inko koi nahi hai iska kya sabab kyon be-kafan har ek ka hai laasha jawab do baba jawab do mere baba jawab do
aati hai daadi jaan ki awaaz yan suno kis dard se pukarti hai baba jaan suno karti hai kaisi ranj-o-alam ki bayan suno kya so rahe ho bint-e-nabi ki fughan suno kin minnato'n se kehti hai zehra jawab do baba jawab do mere baba jawab do
|
|
|
|
|
|
|