dard o gham o alam ki aziyat ki raat hai
zarbat ki raat hai ye shahadat ki raat hai
mayoos zindagi hai sare paak dekh kar
maula ke doston pe musibat ki raat hai
zarbat ki raat hai...
kya dardnaak dard yateemi ki hai khaza
aulaad ro rahi hai ke furqat ki raat hai
zarbat ki raat hai...
kehti hai sar ke zakhm se ro ro ke ye namaz
doobi hui lahoo may ibadat ki raat hai
zarbat ki raat hai...
quran ke harf harf se behne laga hai khoon
shariye mohamadi pe musibat ki raat hai
zarbat ki raat hai...
rone do mujhko mai hoo azadare murtaza
islam keh raha hai ye wehshat ki raat hai
zarbat ki raat hai...
jaate hue janaze pe zainab ka tha bayan
dunya se chain uth gaya aafat ki raat hai
zarbat ki raat hai...
aale nabi ka tha ali fitrat yehi bayan
kaise kategi raat qayamat ki raat hai
zarbat ki raat hai...
درد وغم و الم کی اذیت کی رات ہے
ضربت کی رات ہے یہ شہادت کی رات ہے
مایوس زندگی ہے سرِ پاک دیکھ کر
مولا کے دوستوں پہ مصیبت کی رات ہے
ضربت کی رات ہے ۔۔۔
کیا دردناک درد یتیمی کی ہے قضا
اولاد رو رہی ہے کے فرقت کی رات ہے
ضربت کی رات ہے ۔۔۔
کہتی ہے سر کے زخم سے رو رو کے یہ نماز
ڈوبی ہوئی لہو میں یہ عبادت کی رات ہے
ضربت کی رات ہے ۔۔۔
قرآن کے حرف حرف سے بہنے لگا ہے خون
شاریعِ محمدی پہ مصیبت کی رات ہے
ضربت کی رات ہے ۔۔۔
رونے دو مجھ کو میں ہوں عزادارِ مرتضیٰ
اسلام کہہ رہا ہے یہ وحشت کی رات ہے
ضربت کی رات ہے ۔۔۔
جاتے ہوئے جنازے پہ زینب کا تھا بیان
دُنیا سے چین اُٹھ گیا آفت کی رات ہے
ضربت کی رات ہے ۔۔۔
آلِ نبی کا تھا علی فطرت یہی بیان
کیسے کٹے گی رات قیامت کی رات ہے
ضربت کی رات ہے ۔۔۔