NohayOnline

Providing writeups (English & Urdu text) of urdu nohay, new & old

Home Salaam Marsiya

Bhai ki nazar

Nohakhan: Akbar Hussain
Shayar: Shahid Jafer


bhai ki nazar kehti hai bhai ki nazar se
gar izn ho darya idhar aajaye udhar se

har daure bala qaid may ye sheh ke azadaar
zinda hai to zehra ki duaon ke asar se
bhai ki nazar kehti...

hai ashke ghame sheh ki tarha khaabile tazeem
wo khoon jo matam may bahay seena-o-sar se
bhai ki nazar kehti...

abbas ke baazu hi qalam hogaye warna
cheeni nahi jaati kabhi chadar kisi sar se
bhai ki nazar kehti...

gehware se be-dast gira kaise zameen par
us karb ko pooche koi sarwar ke jigar se
bhai ki nazar kehti...

kano may bahot dard raha phir bhi sakina
jee bhar ke kabhi ro na saki shimr ke darr se
bhai ki nazar kehti...

sajjad ka har naqshe khadam khoon se ubhra
zanjeer uthaye hue guzre hai jidhar se
bhai ki nazar kehti...

ye tarbiyat e majlis e sarwar hai ke shahid
waaqif hue aadaab e sama'at ke hunar se
bhai ki nazar kehti...

بھائی کی نظر کہتی ہے بھائی کی نظر سے
گر اذن ہو دریا ادھر آ جائے اُدھر سے

ہر دورِ بلا قید میں شِہ کا عزادار
زندہ ہے تو زہرا کی دُعائوں کے اثر سے
بھائی کی نظر کہتی ۔۔۔

ہے اشکِ غم شِہ کی طرح قابلِ تعظیم
وہ خون جو ماتم میں بہے سینہ و سر سے
بھائی کی نظر کہتی ۔۔۔

عباس کے بازو ہی قلم ہو گئے ورنہ
چھینی نہیں جاتی کبھی چادر کسی سر سے
بھائی کی نظر کہتی ۔۔۔

گہوارے سے بے دست گِرا کیسے زمیں پر
اُس کرب کو پوچھے کوئی سرور کے جگر سے
بھائی کی نظر کہتی ۔۔۔

کانوں میں بہت درد رہا پھر بھی سکینہ
جی بھر کے کبھی رو نہ سکی شمر کے ڈر سے
بھائی کی نظر کہتی ۔۔۔

سجاد کا ہر نقشِ قدم خون سے اُبھرا
زنجیر اُٹھائے ہوئے گزرے ہیں جدھر سے
بھائی کی نظر کہتی ۔۔۔

یہ تربیتِ مجلسِ سرور ہے کے شاہد
واقف ہوئے آدابِ سماعت کے ہنر سے
بھائی کی نظر کہتی ۔۔۔