NohayOnline

Providing writeups (English & Urdu text) of urdu nohay, new & old

Home Salaam Marsiya

Ameer bhi hai ghareeb

Nohakhan: Mir Hassan Mir
Shayar: Mir Takallum


ameer hussain ghareeb hussain
ameer bhi hai ghareeb bhi hai
hussain mehboobe kibriya hai
hussain ghurbat ki inteha hai
ameer bhi hai...

hussain maqsoode karbala hai
hussain mazloome karbala hai
ameer bhi hai...

ameer aisa kafan ki saughaat
jiske roze se bat rahi hai
ghareeb aisa ke khud ko ab tak
kafan mayassar nahi huva hai
ameer bhi hai...

ameer aisa ke jis ka jhoola
nabi jhulayein ali jhulayein
ghareeb aisa ke jiske bache
ka ban may jhoola bhi jal gaya hai
ameer bhi hai...

ameer aisa ke rasme parda-dari
chali hai usi ke ghar se
ghareeb aisa ke shaam-o-kufa
may us ki hamsheer be rida hai
ameer bhi hai...

ameer aisa sakina jaisi
khuda ne beti jisay ata ki
ghareeb aisa usi ke moo par
koi tamache laga raha hai
ameer bhi hai...

ameer aisa ke jis ke baba
ki milkiyat may hai hauze kausar
ghareeb aisa ke teen din se
usi ko pani nahi mila hai
ameer bhi hai...

ameer aisa khuda ka deen
jis ke dam se hai aaj tak salamat
ghareeb aisa ke ran may jis ka
badan salamat nahi raha hai
ameer bhi hai...

ameer aisa ke patharon ko
bana de gohar wohi takallum
ghareeb aisa ke patharon may
usi ka laasha chupa huwa hai
ameer bhi hai...

امیر حسین غریب حسین
امیر بھی ہے غریب بھی ہے
حسین محبوبِ کبریا ہے
حسین غربت کی انتہا ہے
امیر بھی ہے۔۔۔

حسین مقصودِ کربلا ہے
حسین مظلومِ کربلا ہے
امیر بھی ہے۔۔۔

امیر ایسا کفن کی سوغات
جس کہ روضے سے بٹ رہی ہے
غریب ایسا کہ خودکو اب تک
کفن میسر نہیں ہوا ہے
امیر بھی ہے۔۔۔

امیر ایسا کہ جسکا جھولا
نبی جھولائیں علی جھولائیں
غریب ایسا کہ جس کے بچے
کا بن میں جھولا بھی جل گیا ہے
امیر بھی ہے۔۔۔

امیر ایسا کہ رسمِ پرداداری
چلی ہے اُسی کے گھر سے
غریب ایسا کہ شام و کوفہ
میں اُس کی ہمشیر بے ردا ہے
امیر بھی ہے۔۔۔

امیر ایسا سکینہ جیسی
خدا نے بیٹی جسے عطا کی
غریب ایسا اُسی کے منہ پر
کوئی تماچے لگا رہا ہے
امیر بھی ہے۔۔۔

امیر ایسا کہ جسکے بابا
کی ملکیت میں ہے حوضِ کوثر
غریب ایسا کہ تین دن سے
اُسی کو پانی نہیںملاہے
امیر بھی ہے۔۔۔

امیر ایسا خدا کا دیں
جسکے دم سے ہے آج تک سلامت
غریب ایسا کہ رن میں جسکا
بدن سلامت نہیں رہا ہے
امیر بھی ہے۔۔۔

امیر ایسا کہ پتھروں کو
بنادے گوہر وہی تکلم
غریب ایسا کہ پتھروں میں
اُسی کا لاشہ چھپا ہوا ہے
امیر بھی ہے۔۔۔