NohayOnline

Providing writeups (English & Urdu text) of urdu nohay, new & old

Home Salaam Marsiya

Baap ke gham may

Nohakhan: Ali Zia Rizvi
Shayar: Anees Pehersari


baap ke gham may kehti hai rokar
zainab aur kulsoom
sunke nida e ghaibi hai muztar
zainab aur kulsoom
baap ke gham may…

ghar may khuda ke sajda e haq may
zarb laeen ne kaari lagaai
paa ke khabar na roye kyon kar
zainab aur kulsoom
baap ke gham may…

aayi sehar unees ki kaisi
jisne qayamat ham par dhaayi
naala kuna hai kehke ye dukhtar
zainab aur kulsoom
baap ke gham may....

dekh hamare zakhm e sar ko
dekh ke apni jaan khoti ho
dekhogi kaise zakhm e biradar
zainab aur kulsoom
baap ke gham may....

karbobala may ro na sakogi
bole ali khud ashq baha kar
karlo buka ab tum jee bhar kar
zainab aur kulsoom
baap ke gham may....

باپ کے غم میں کہتی ہیں رو کر
زینب اور کلثوم
سن کے ندائے غیبی ہیں مضطر
زینب اور کلثوم
---باپ کے غم میں

گھر میں خدا کے سجدہ حق میں
ضرب لعین نے کاری لگائی
پا کے خبر نہ روئے کیونکر
زینب اور کلثوم
---باپ کے غم میں

آئی سحر انیس کی کیسی
جس نے قیامت ہم پر ڈھائی
نالہ کناں ہے کہہ کے دختر
زینب اور کلثوم
---باپ کے غم میں

دیکھ ہمارے زخم سر کو
دیکھ کے اپنی جاں کھوتی ہو
دیکھو گی کیسے زخم برادر
زینب اور کلثوم
---باپ کے غم میں

کرب و بلا میں رو نہ سکو گی
بولے علی خود اشک بہا کر
کر لو بکا اب تم جی بھرکر
زینب اور کلثوم
---باپ کے غم میں