NohayOnline

Providing writeups (English & Urdu text) of urdu nohay, new & old

Home Salaam Marsiya

Sheh se bayan

Nohakhan: Ali Yazdan
Shayar: Dayam Najafi


sheh se bayan karti thi ye sughra
kya yehi ulfat ka taqaza hai
itna bata dijiye ay baba
kya yehi ulfat ka taqaza hai

gham ke bayaban mein
ashk ke toofan mein
yaad ke zindan mein
khaana e veeran mein
chod ke jaate hai mujhe tanha
kya yehi ulfat ka taqaza hai
sheh se bayan karti…

rehm na khaaya zara
de ke saza be-khata
chod ke be-aasra
jaate hai kyun kar bhala
dete hai kyun daagh bhare ghar ka
kya yehi ulfat ka taqaza hai
sheh se bayan karti...

sookhe hai kyun tere lab
tapta hai kya haal ab
kaisi guzari ye shab
hai kisi sheh ki talab
haal mareeza ka na kuch poocha
kya yehi ulfat ka taqaza hai
sheh se bayan karti...

sheh ke tarafdaar hai
aal ke ghamkhaar hai
sab ke wafadaar hai
sab ke khabardaar hai
ammu ne bhi haye mujhe choda
kya yehi ulfat ka taqaza hai
sheh se bayan karti...

waasta allah ka
itna bata do zara
kya hui sarzad khata
kya hua mujhse bhala
dhyan kisi ko bhi nahi mera
kya yehi ulfat ka taqaza hai
sheh se bayan karti...

saansein hi dushwar hai
marg ke aasaar hai
aankhein bhi ghamkhaar hai
karb ke ambaar hai
fikr nahi meri kisi ko bhi
kya yehi ulfat ka taqaza hai
sheh se bayan karti...

kuch to rehm kijiye
kuch to taras khaiye
aap hi batlaiye
kya mai bataun usay
poochta hai dil yehi baba mera
kya yehi ulfat ka taqaza hai
sheh se bayan karti...

makf o ata bhool kar
baba dawa bhool kar
saari wafa bhool kar
haye wigha bool kar
kar diya ek aan mein kyun tanha
kya yehi ulfat ka taqaza hai
sheh se bayan karti...

paas bithaate nahi
yan se guzurte nahi
nazr bhi karte nahi
haan mujhe takte nahi
haye muqaddar hai mera kaisa
kya yehi ulfat ka taqaza hai
sheh se bayan karti...

hansliyon waale mere
amma ke ay laadle
sughra fida ho tere
mujhse khafa kyun huwe
tumne bhi behna se hai moo moda
kya yehi ulfat ka taqaza hai
sheh se bayan karti...

dayam o yazdan wahan
hashr ka tha ek samaan
hilte thay dono jahan
roti thi saydaniya
marsiya padti thi yehi sughra
kya yehi ulfat ka taqaza hai
sheh se bayan karti...

sheh se bayan karti thi ye sughra
kya yehi ulfat ka taqaza hai
itna bata dijiye ay baba
kya yehi ulfat ka taqaza hai

gham ke bayaban may
ashk ke toofan may
yaad ke zindan may
khaana e veeran may
chod ke jaate hai mujhe tanha
kya yehi ulfat ka taqaza hai
sheh se bayan karti…

rehm na khaaya zara
de ke saza be-khata
chod ke be-aasra
jaate hai kyun kar bhala
dete hai kyun daagh bhare ghar ka
kya yehi ulfat ka taqaza hai
sheh se bayan karti...

sookhe hai kyun tere lab
tapta hai kya haal ab
kaisi guzari ye shab
hai kisi sheh ki talab
haal mareeza ka na kuch poocha
kya yehi ulfat ka taqaza hai
sheh se bayan karti...

sheh ke tarafdaar hai
aal ke ghamkhaar hai
sab ke wafadaar hai
sab ke khabardaar hai
ammu ne bhi haye mujhe choda
kya yehi ulfat ka taqaza hai
sheh se bayan karti...

waasta allah ka
itna bata do zara
kya hui sarzad khata
kya hua mujhse bhala
dhyan kisi ko bhi nahi mera
kya yehi ulfat ka taqaza hai
sheh se bayan karti...

saansein hi dushwar hai
marg ke aasaar hai
aankhein bhi ghamkhaar hai
karb ke ambaar hai
fikr nahi meri kisi ko bhi
kya yehi ulfat ka taqaza hai
sheh se bayan karti...

kuch to rehm kijiye
kuch to taras khaiye
aap hi batlaiye
kya mai bataun usay
poochta hai dil yehi baba mera
kya yehi ulfat ka taqaza hai
sheh se bayan karti...

makf o ata bhool kar
baba dawa bhool kar
saari wafa bhool kar
haye wigha bool kar
kar diya ek aan may kyun tanha
kya yehi ulfat ka taqaza hai
sheh se bayan karti...

paas bithaate nahi
yan se guzurte nahi
nazr bhi karte nahi
haan mujhe takte nahi
haye muqaddar hai mera kaisa
kya yehi ulfat ka taqaza hai
sheh se bayan karti...

hansliyon waale mere
amma ke ay laadle
sughra fida ho tere
mujhse khafa kyun huwe
tumne bhi behna se hai moo moda
kya yehi ulfat ka taqaza hai
sheh se bayan karti...

dayam o yazdan wahan
hashr ka tha ek samaan
hilte thay dono jahan
roti thi saydaniya
marsiya padti thi yehi sughra
kya yehi ulfat ka taqaza hai
sheh se bayan karti...