NohayOnline

Providing writeups (English & Urdu text) of urdu nohay, new & old

Home Salaam Marsiya

Maqtal se laash

Nohakhan: Hadi Ali Khan Muslim
Shayar: Ali Jaweed Maqsood


maqtal se laash qasim e naushaah ki aayi hai

baraatiyo ne kyun saff e matam bichayi hai
dulhan ki maang khaak se kis ne sajayi hai
shaadi ka hai makaan faza gham ki chaayi hai
bewa hui hussain ki beti duhaai hai
maqtal se laash qasime...

khushiyan tamaam hogayi aansu bahaiye
dulhan ko laa ke farshe aza par bithaiye
shaadi ki rasm ho chuki bewa banayie
fizza ye kiske marne ka paigham laayi hai
maqtal se laash qasime...

bewon ke darmiyan ye farwa ki hai buka
pal may meri khushi ka jahan khaak hogaya
bete ka ghar basane ka armaan tha mera
ibne hassan ne maut ki basti basayi hai
maqtal se laash qasime...

farmate thay ye shaah ghazab hogaya behan
pamaal ran may hogaya naushaah ka badan
aur tukde tukde hogaya bhaiya ka gul badan
qasim ki laash hum ne abaa may uthaayi hai
maqtal se laash qasime...

jawed karbala ki ye shaadi ajeeb thi
lamho may jo khushi thi wo gham may badal gayi
shaadi koi jahan may hoti hai jab kabhi
ibne hassan ki yaad zamane ko aayi hai
maqtal se laash qasime...

مقتل سے لاش قاسم نوشاہ کی آی ہے

باراتیوں نے کیوں صف ماتم بچھای ہے
دلہن کی مانگ خاک سے کس نے سجای ہے
شادی کا ہے مکان فضا غم کی چھائی ہے
بیوہ ہوی حسین کی بیٹی دہائی ہے
مقتل سے لاش قاسم۔۔۔

خوشیاں تمام ہو گیء آنسوں بہایےء
دلہن کو لا کے فرش عزا پر بٹھایےء
شادی کی رسم ہو چکی بیوہ بنائیے
فضہ یہ کس کے مرنے کا پیغام لای ہے
مقتل سے لاش قاسم۔۔۔

بیوؤں کا درمیان یہ فروہ کی ہے بکا
پل میں میری خوشی کا جہاں خاک ہو گیا
بیٹے کا گھر بسانے کا ارمان تھا میرا
ابنِ حسن نے موت کی بستی بسای ہے
مقتل سے لاش قاسم۔۔۔

فرماتے تھے یہ شاہ غضب ہوگیا بہن
پامال رن میں ہو گیا نوشاہ کا بدن
اور ٹکڑے ٹکڑے ہو گیا بھیا کا گل بدن
قاسم کی لاش ہم‌ نے عبا میں اٹھای ہے
مقتل سے لاش قاسم۔۔۔

جاوید کربلا کی یہ شادی عجیب تھی
لمحوں میں جو خوشی تھی وہ غم میں بدل گیء
شادی کوئی جہاں میں ہوتی ہے جب کبھی
ابنِ حسن کی یاد زمانے کو آی ہے
مقتل سے لاش قاسم۔۔۔