NohayOnline

Providing writeups (English & Urdu text) of urdu nohay, new & old

Home Salaam Marsiya

Abid ki nigahon may

Nohakhan: Hadi Ali Khan Muslim
Shayar: Hasan Abbas Ahsan


abid ki nigahon may har karb ka manzar hai

yalghaar hai ghodon ki aur qasim e bepar hai
tooti hui barchi hai aur seena e akbar hai
hulqoom e ali asghar aur teer e sitamgar hai
naize ki bulandi hai aur phool sa ek sar hai
abid ki nigahon may...

hai aalam e tanhaai aur zulm ka lashkar hai
nargha hai layeeno ka aur jaan e payambar hai
tayghon se badan zakhmi aur teeron ka bistar hai
shabbir ki gardan hai aur shimr ka khanjar hai
abid ki nigahon may...

uth'ti hui talwarein chalte huwe naize hai
sab zakhmi badan goya mashkon ke dahaane hai
har simt se hamle hai abbas akele hai
pyase ka sare zakhmi aur gurze sitamgar hai
abid ki nigahon may...

karbal ke biyaban may aasaar hai mehshar ke
bikhre huwe maidan may laashe hai bahattar ke
zainab ki nigahon may sab zakhm hai sarwar ke
jalti hui reti hai aur laasha e be-sar hai
abid ki nigahon may...

khamosh biyaban hai aur shaam e ghariban hai
har aankh may ashkon ka tehra hua toofan hai
bewon ka yateemon ka ab kaun nigehban hai
jalte huwe qaime hai chinti hui chadar hai
abid ki nigahon may...

bazaar may sar nange ahmed ka gharana hai
jakda hua rassi may har bibi ka shaana hai
is haal may zainab ko darbar bhi jaana hai
har simt tamashayi zainab ka khula sar hai
abid ki nigahon may...

hai pushte sakina par durron ke nashan saare
kaano se lahoo jaari rukhsar bhi hai soojhe
zakhmon may jalan jaise bharde koi angaare
har lamha tamache hai har gaam pa mehshar hai
abid ki nigahon may...

darbar may qaidi hai aulaad payambar ki
sar tasht may sarwar ka kaisi ye adawat thi
honton pa shah e deen ke zaalim ne chadi rakhi
zainab ki nazar har dam bhai ke labon par hai
abid ki nigahon may...

wo sajda e shukrana hangaam e qayamat may
chalta raha kaanton par jo dhoop ki shiddat may
rote hai sada ahsan hum jis ki musibat may
us ke liye nazrana ashkon ka samandar hai
abid ki nigahon may...

عابد کی نگاہوں میں ہر کرب کا منظر ہے

یلگار ہے گھوڑوں کی اور قاسم بے پر ہے
ٹوٹی ہوی برچھی ہے اور سینۂ اکبر ہے
حلقوم علی اصغر اور تیر ستمگر ہے
نیزے کی بلندی ہے اور پھول سا اک سر ہے
عابد کی نگاہوں میں۔۔۔

ہے عالم تنہائی اور ظلم کا لشکر ہے
نرغہ ہے لعینوں کا اور جان پیمبر ہے
تیغوں سے بدن زخمی اور تیروں کا بستر ہے
شبیر کی گردن ہے اور شمر کا خنجر ہے
عابد کی نگاہوں میں۔۔۔

اٹھتی ہے تلواریں چلتے ہوے نیزے ہے
سب زخمی بدن گویا مشکوں کے دہانے ہیں
ہر سمت سے حملے ہے عباس اکیلے ہیں
پیاسے کا سر زخمی اور گرز ستمگر ہے
عابد کی نگاہوں میں۔۔۔

کربل کے بیاباں میں آثار ہے محشر کے
بکھرے ہوے میداں میں لاشے ہیں بہتر کے
زینب کی نگاہوں میں سب زخم ہے سرور کے
جلتی ہُوئی ریتی ہے اور لاشہء بے سر ہے
عابد کی نگاہوں میں۔۔۔

خاموش بیاباں ہے اور شام غریباں ہے
ہر آنکھ میں اشکوں کا ٹہرا ہوا طوفاں ہے
بیوؤں کا یتیموں کا اب کون نگہباں ہے
جلتے ہوے خیمے ہیں چھنتی ہوی چادر ہے
عابد کی نگاہوں میں۔۔۔

بازار میں سر ننگے احمد کا گھرانہ ہے
جکڑا ہوا رسی میں ہر بی بی کا شانہ ہے
اس حال میں زینب کو دربار بھی جانا ہے
ہر سمت تماشائی زینب کا کھلا سر ہے
عابد کی نگاہوں میں۔۔۔

ہے پشت سکینہ پر دروں کے نشاں سارے
کانوں سے لہو جاری رخسار بھی ہیں سوجھے
زخموں میں جلن جیسے بھردے کوئی انگارے
ہر لمحہ طمانچے ہیں ہر گام پہ محشر ہے
عابد کی نگاہوں میں۔۔۔

دربار میں قیدی ہے اولاد پیمبر کی
سر طشت میں سرور کا کیسی یہ عداوت تھی
ہونٹوں پہ شہ دیں کے ظالم نے چھڑی رکھی
زینب کی نظر ہر دم بھای کے لبوں پر ہے
عابد کی نگاہوں میں۔۔۔

وہ سجدۂ شکرانہ ہنگام قیامت میں
چلتا رہا کانٹوں پر جو دھوپ کی شدت میں
روتے ہیں سدا احسن ہم جس کی مصیبت میں
اس کے لئے نظرانہ اشکوں کا سمندر ہے
عابد کی نگاہوں میں۔۔۔