NohayOnline

Providing writeups (English & Urdu text) of urdu nohay, new & old

Home Salaam Marsiya

Aaqa e do jahan bhi

Nohakhan: Faazil Lakhnavi
Shayar: Mahir Lakhnavi


aaqa e do jahan hai mushkil kusha bhi hai
hyder ba qaul e qaum e nusairi khuda bhi hai
aaqa e do jahan hai...

kaabe my budh shikan hai to masjid may hai imam
jibreel keh rahe hai ali la fataa bhi hai
aaqa e do jahan hai...

abbas ab na paltenge darya liye baghair
badta hua qadam kabhi peeche hata bhi hai
aaqa e do jahan hai...

saqqa e ahlebayt hai abbas naam hai
talwaar khaynch le to ye sher e khuda bhi hai
aaqa e do jahan hai...

khyber may kaise waar se sheh par nahi kate
hyder ki zulfeqar se koi bacha bhi hai
aaqa e do jahan hai...

toofan uth raha hai to uthe hazaar baar
kashti ke saath saath mera nakhuda bhi hai
aaqa e do jahan hai...

akbar na kyun ho apne muqabil pa fathe yaab
zor e ali hai haath may maa ki dua bhi hai
aaqa e do jahan hai...

khandaq may kaun jayega dushman ke saamne
islam may ali ke siwa doosra bhi hai
aaqa e do jahan hai...

dekho adab se rauza e shabbir ki taraf
mahir khayal e azmate karbobala bhi hai
aaqa e do jahan hai...

آقائے دو جہاں ہے مشکل کشا بھی ہے
حیدر بہ قولِ قوم نصیری خدا بھی ہے
آقائے دو جہاں ہے۔۔۔

کعبے میں بت شکن ہیں تو مسجد میں ہیں امام
جبریل کہہ رہے ہیں علی لافتی بھی ہے
آقائے دو جہاں ہے۔۔۔

عباس اب نہ پلٹے گا دریا لیے بغیر
بڑھتا ہوا قدم کبھی پیچھے ہٹا بھی ہے
آقائے دو جہاں ہے۔۔۔

سقاے اہلبیت ہے عباس نام ہے
تلوار کھینچ لے تو یہ شیر خدا بھی ہے
آقائے دو جہاں ہے۔۔۔

خیبر میں کیسے وار سے شہ پر نہیں کٹے
حیدر کی ذولفقار سے کوئی بچا بھی ہے
آقائے دو جہاں ہے۔۔۔

طوفان اٹھ رہا ہے تو اٹھے ہزار بار
کشتی کے ساتھ ساتھ میرا نا خدا بھی ہے
آقائے دو جہاں ہے۔۔۔

اکبر نہ کیوں ہو اپنے مقابل پہ فتح یاب
زور علی ہے ہاتھ میں ماں کی دعا بھی ہے
آقائے دو جہاں ہے۔۔۔

خندق میں کون جاے گا دشمن کے سامنے
اسلام میں علی کے سوا دوسرا بھی ہے
آقائے دو جہاں ہے۔۔۔

دیکھو ادب سے روضہء شبیر کی طرف
ماہر خیال عظمت کربوبلا بھی ہے
آقائے دو جہاں ہے۔۔۔