NohayOnline

Providing writeups (English & Urdu text) of urdu nohay, new & old

Home Salaam Marsiya

Shauq arze karbala

Nohakhan: Nasir Jahan


shauq arz e karbala ka mere aab o dil may hai
jeete ji jannat may pahunchun ye tamanna dil may hai

daaghe matam se hai raunaq mehfile shabbir ki
jaisi ye mehfil hai waisi shamma bhi mehfil may hai

bhar ke pani nehr se abbas pyase hi gaye
ye unhi honton ki khushki aaj tak saahil may hai

bhej di naizon may akbar se pisar ko khud hussain
ummat e jad ki mohabbat hai ke barchi dil may hai

nikli padti hai ke qaime may nahi padta kharaar
gardan e asghar may nawak zakhm maa ke dil may hai

aag hai qaimon ke andar aur baahar ahle naar
pardadarane haram ki jaan kis mushkil may hai

khushk pyase ka gala aur kund khanjar hai ghazab
dil ye kaahe ko hai pathar seena e qaatil may hai

jamma hai ahle jina baabe jina par waqte asr
intezar ek shamme kushta ka bhari mehfil may hai

شوق ارض کربلا کا میرے آب و گِل میں ہے
جیتے جی جنت میں پہنچوں یہ تمنا دل میں ہے

داغِ ماتم سے ہے رونق محفلِ شبیر کی
جیسی یہ محفل ہے ویسی شمع بھی محفل میں ہے

بھر کے پانی نہر سے عباس پیاسے ہی گئے
یہ انہی ہونٹوں کی خشکی آج تک ساحل میں ہے

بھیج دی نیزوں میں اکبر سے پسر کو خود حسین
امتِ جد کی محبت ہے کہ برچھی دل میں ہے

نکلی پڑتی ہے کہ خیمے میں نہیں پڑتا قرار
گردنِ اصغر میں ناوک زخم ماں کے دل میں ہے

آگ ہے خیموں کے اندر اور باہر اہلِ نار
پردادارانِ حرم کی جان کس مشکل میں ہے

خشک پیاسے کا گلا اور کند خنجر ہے غضب
دل یہ کاہے کو ہے پتھر سینہِ قاتل میں ہے

جمع ہیں اہلِ جناں بابِ جناں پر وقتِ عصر
انتظار ایک شمعِ کشتہ کا بھری محفل میں ہے