hai kahan bhai mera ay zuljana zuljana zuljana zuljana hai kahan bhai...
zeen khali aur rakabon se tapakta hai lahoo tujhse aati hai ghareebe karbla ke khoon ki boo kya sakina ki yateemi ki khabar laaya hai tu khoon hai maathe pe ye kiska mala zuljana zuljana zuljana hai kahan bhai...
haal aaqa ki musibat ka suna de zuljana ek behan ko uske bhai se mila de zuljana raah e maqtal binte zahra ko dikhade zuljana dhoondne jaaye kahan sheh ko bhala zuljana zuljana zuljana hai kahan bhai...
wa hussaina ki sadaye hai fiza may kis liye surkh aandhi chal rahi hai karbala may kis liye baj rahe hai shadhiyane ashkiyan may kis liye shamiyon may shor hai kaisa bata zuljana zuljana zuljana hai kahan bhai...
dil bahot betaab tha aaya hai jab se naama-war yaad sughra aa gayi kya naujawan ki laash par ladte ladte pad gayi kya zakhmi seene par nazar laash par akbar ki kya ghash aa gaya zuljana zuljana zuljana hai kahan bhai...
chain kaise bhai ke bin ghar may payegi behan teero naizon barchio ke zakhm khayegi behan apne bhai ko utha kar ran se laayegi behan ye bata tashna dahan kis jaan gira zuljana zuljana zuljana hai kahan bhai...
laut kar wo ghar na aaya aaj maqtal jo gaya fatema ka chand bhi kya nainawa may kho gaya shaam se pehle takallum kyun andhera ho gaya kya diya qabre nabi ka bujh gaya zuljana zuljana zuljana hai kahan bhai...
|
|