na karbala na koofa na darbar e aam may zainab shaheed hogayi baazar e shaam may
bibi pe yun to shame ghariban se thi jafa bazaar e shaam aaya to sar par na thi rida naize se sar jo hazrate abbas ka gira zainab shaheed hogayi baazar e shaam may na karbala na koofa...
barsaat patharon ki charaga ka char soo pehle hi taaziyane baraste thay khoo ba khoo behne laga jo aag se sajjad ke lahoo zainab shaheed hogayi baazar e shaam may na karbala na koofa...
zainab tarasti rehgayi aaram o chain ko mauqa mila na majliso matam ko bain ko maanga tha jab kaneezi may binte hussain ko zainab shaheed hogayi baazar e shaam may na karbala na koofa...
bhai ka sar sina pe tha zulfein lahoo may tar noke sina pe aun o mohamed ke dekhe sar chotay se ek sar pe padi jis ghadi nazar zainab shaheed hogayi baazar e shaam may na karbala na koofa...
akbar se karbala may mulaqaat kab hui naizo ke khaafile may usay dhoondti rahi bazaar e shaam may jo nazar sar pe pad gayi zainab shaheed hogayi baazar e shaam may na karbala na koofa...
baandha gaya sakina ko pushte shutar ke saath wo tashnagi thi maa se bhi karti nahi thi baat balon talak sakina ke pahunchay layeen ke haath zainab shaheed hogayi baazar e shaam may na karbala na koofa...
bas saans chal rahi thi to zindan kahan rahi talwaar jiske sar pe chali be-ridayi ki kehti thi dekho par ye madine may ab koi zainab shaheed hogayi baazar e shaam may na karbala na koofa...
rehaan yun to phir sare kam ye taweel hai ashkon ki bediyan kisay jaari sabeel hai bibi ka roza shaam may hona daleel hai zainab shaheed hogayi baazar e shaam may na karbala na koofa...
|
|