yun bhi karte hai juda quran ko tafseer se jis tarha shabbir bichda zainab e dilgeer se
jao behna ab tumhari jang hoti hai shuru be-kafan bhai ye bola be-rida hamsheer se yun bhi karte...
khaak par likhi gayi hai karbala ki daastan jo lahoo ki dhaar nikli gardan e shabbir se yun bhi karte...
padke khat sughra ka maula ro diye ke kya kahoo mustufa ki khoon may doobi hui tasveer thi yun bhi karte...
nanhi si chadar na lut-ti to tujhe deti kafan yun sakina keh rahi thi laashaye baysheer se yun bhi karte...
saniye zehra ne logon aap hoke be-rida deen par saaya kiya hai chadar e tatheer se yun bhi karte...
jafari khayam namaz o roza o haj o zakat aaj bhi hai murtuza khoon ki taseer se yun bhi karte...
|
|