ye maahe muharram hai ye ayyame aza hai matam ye mohamed ke nawase ka bapa hai
is maah may looti gayi zehra ki kamayi talwaar mohamed ke nawase pe chalayi is maah may jibreel se nauha ye suna hai matam ye mohamed ke... ye maahe muharram hai...
is mahe muharram ne qayamat ye dikhayi is chand ne sughra ko khabar jaake sunayi veeran madina hai basi karbobala hai matam ye mohamed ke... ye maahe muharram hai...
is maah may sadaat ne din kaise guzare masoom ko pani na mila nehr kanare kya zulm mohamed ke gharane ne saha hai matam ye mohamed ke... ye maahe muharram hai...
jab chaand muharram ka nazar aata hai humko sajta hai azakhana to yaad aata hai humko is chand may khoon aale mohamed ka baha hai matam ye mohamed ke... ye maahe muharram hai...
ashoor ka din bhool na payega zamana loota gaya us roz mohamed ka gharana us roz se dunya may bichhi farshe aza hi matam ye mohamed ke... ye maahe muharram hai...
kya hausle maaon ke thay kya sher thay bachay wo maqsade zehra thi ye hydar ke iraade in maaon se bachon se bani khaake shifa hai matam ye mohamed ke... ye maahe muharram hai...
wo auno mohamed ali akbar ali asghar wo qasime naushah wo abbas-e-dilawar maqtal inhi shehzadon ke zakhmon se saja hai matam ye mohamed ke... ye maahe muharram hai...
ho sarwar o rehan shanawar ke ali jee hai naukri virse may hussain ibne ali ki awaazo qalam dono isi dar ki ata hai matam ye mohamed ke... ye maahe muharram hai...
|
|