karbala awaaz meri dil mera hai karbala karbala karbala karbala
yahan sambhalkar qadam uthana ye karbala hai ye karbala hai ye baat hargiz na bhool jaana ye karbala hai ye karbala hai
jahan may sabr o riza yehi hai khudaye sabr o riza yehi hai yahan pe aate hai chalke mehdi ye ishte zahra ye sar zameen hai yahan hai zahra ka aana jaana ye karbala hai... yahan sambhalkar...
duayein denge hussain tumko yahan pe aansu agar bahaye jahan pe beti ne be-watan ki sitamgaron se tamache khaaye yahan pe khushiyon ko bhool jaana ye karbala hai... yahan sambhalkar...
yahan pe guzri hai wo qayamat mila na usko sukkoon ab tak ridayein chin-ne ke gham may abid lehad may rota hai khoon ab tak yahan pe hargiz na muskurana ye karbala hai... yahan sambhalkar...
yahan pe hur bhi tha hurmala bhi kitaabe hasti to padhke dekho sadayein hal min jo aa rahi hai tum is taraf ho ya is taraf ho tumhein amal se hai ab batana ye karbala hai... yahan sambhalkar...
yahin pe qasim huwe hai tukde yahin pe zeen se giray thay maula yahin sakina sumon se lipti yahin pe asghar ne teer khaaya yahin ghareebi ka hai thikana ye karbala hai... yahan sambhalkar...
sawaari aayegi ek wahan se najaf ki jaanib nigaah rakhna jab aaye shame e ghariban us dam ali ko zainab ka pursa dena tum aansuon ke diye jalana ye karbala hai... yahan sambhalkar...
kisi ke dil may lagi hai barchi kisi ke baazu katay yahin par haye ali ki beti ke kitne yusuf lahoo may doobe hai is zameen par luta hai sadaat ka gharana ye karbala hai... yahan sambhalkar...
rahe kahin bhi jahan may jaakar hussain waale ye jaante hai hum ahle matam ke dil takallum yahan ki mitti se hi banay hai yahan hai wapas palat ke aana ye karbala hai... yahan sambhalkar...
|
|