ye kaifiat jo gham o alam ki tamam aalam pe cha rahi hai nabi ki dilbar ke khoon ki kushboo fiza may ab tak sama rahi hai
nabi se dunya ki zeb o zeenat nabi ki jaanib bula rahi hai hussain ki yaad dil se lekin har ek har khaahish mita rahi hai
ye chaah hai gham dilon pe chaaye khayale baatil dilon se jaye nabi ki itrat hamare khaatir har ek musibat utha rahi hai
faraat ki simt dekh kar yun sakina kehti thi pyare ammu zara bhatiji ko aake dekho sitam ke sadme utha rahi hai
sakina kehti thi bhaiya asghar na aaye tum laut kar abhi tak lo ab to aao behan tumhari ye khaali jhoola jhula rahi hai
hussain ki laadli sakina padar ke seene pe sone waali chacha se chooti padar se bichdi tamache zaalim ke kha rahi hai
har ek sheh is ke hukm may hai magar ye eeza e allah allah ali ki beti hamare khaatir rasan may baazu bandha rahi hai
habeeb e rab ki nawasiyan jo barehna sar izdehaam may hai hawa musalsal ghubaar uda kar saron pe chadar udha rahi hai
asad wo keena ke ghasbe haq se har ek burayi se bas hamesha hussain ki yaad haq ki jaanib nadeem tujhko bula rahi hai
|
|