ye janaza hai ali ka shahe khaibargeer ka ye janaza hai ali ka aaj baba mar gaya hai shabbar o shabbir ka ye janaza hai ali ka
fatema zehra ke marqad se sada aane lagi ye masayeb reh gaya tha kya meri taqdeer ka ye janaza hai ali ka....
ya rasool-allah ye jibreel ne ro kar kaha ek halqa aur toota noor ki zanjeer ka ye janaza hai ali ka....
kyun chalayi taygh hydar par bine muljim bata qatl quran kar diya kaata gala tafseer ka ye janaza hai ali ka....
gham ali ki betiyon ke phir se taaza ho gaye gham abhi bhooli kahan thi maadare dilgeer ka ye janaza hai ali ka....
naz'a may jaane ali ko kya khayaal aata raha moo kabhi zainab ka dekha aur kabhi shabbir ka ye janaza hai ali ka.....
betiyon ko dekhte hai aur rote hai ali haaye wo zaalim tasavvur shaam ki tash-heer ka ye janaza hai ali ka....
chotay se abbas bhi rotay hai sar ko peet kar bachpana abbas ka aur zakhm dil par teer ka ye janaza hai ali ka....
baap ki mayyat se zainab ka lipatna baar baar dil hila deta tha rona shah ki hamsheer ka ye janaza hai ali ka....
|
|