ay azadaron suno ay naunehalon suno ay pusadaron suno hussain ya hussain ya hussain ya hussain
kuch log deen e haq ko bachane ke waaste be-ghar huwe kuch aise ke har ghar may aa gaye ghar azakhana ban gaya ghar azakhana ban aya
ghar may zehra ke jab khadam aaye shahe yasrab shahe umam aaye pursa lene ko aa gaye hyder unke bachon ke jab alam aaye farsh majlis ka jab bichaya gaya dil ne be saakta kiya nauha ye azakhana e hussain hai
dil may shohrat hunar wafadari zeenat e ishq ki hai tayyari ahle matam ki bas ye khawish hai khana e haq may ho azadari nazre maula ka ehtemaam bhi ho hamiyane khuda kare nauha ye azakhana e hussain hai
ek alam ba-wafa ka sajta hai is alam par khuda ka saaya hai ho ke be-dast wo sakhi ab tak saari dunya ki jholi bharta hai aur dunya ko ye batata hai mujhse milna ho to yahin aana ye azakhana e hussain hai
khaali aaghosh waali maa behne wo jo aulaad ko tarasti hai unko aulaad bhi ata hogi aake mannat agar yahan maane ek jhoola yahan hai asghar ka woh ata kar ke ye bata dega ye azakhana e hussain hai
shab ki tanhayi may suno aksar ek bibi yahan hai nauhagar apne bete ka pursa lene ko khud baqayya se aayi hai madar rone walon se roke kehti hai isko aabad hi sada rakhna ye azakhana e hussain hai
qaid khane may pehli majlis ka aao ehwaal sunlo ahle aza marsiya khaan bibiyan saari zakira un may saani e zehra matami qaidiyon ke halqe may nauha padte thay roke zainu'leba ye azakhana e hussain hai
hai gham e karbala mere dil may hai gham e be-rida mere dil may zakhm zainul leba mere dil may dard e mushkil kusha mere dil may qabre shahe huda mere dil may ab mere dil ko bhi kahe dunya ye azakhana e hussain hai
baat mushkil hai ye khuda ki qasam kya likhe mazhar abdi ka qalam maa ki aagosh may suna nauha maa ki aagosh may kiya matam aur irfan jab alam dekhe maine rote hue padha nauha ye azakhana e hussain hai
|
|