farshe aza hogaya matam bapa aati hai dil se sada haye shahe karbala karte hai matam tera haye qateel e jafa chand falak par dikha aagaya mahe aza
phir safay bich gayi matam ki sada goonj uthi naam lene se mere dil ko aata hai chain ya hussain ya hussain ya ababdillah
char jaanib ye julooson ki sabeelon ki faza aaj ghar ghar may azakhana saja hai maula saari dunya may bapa hogaya matam tera zeb e tan kaale libas sabke chehre hai udaas ranj o gham hasrat o yaas phir safay bich gayi matam ki sada goonj uthi naam lene se mere dil ko aata hai chain ya hussain...
saal bhar gham may tere yun bhi nahi dil ko chain chand dekha jo moharram ka utha shor o shain sab azadaron ke lab par hai buka haye hussain zeb e tan kaale libas sabke chehre hai udaas ranj o gham hasrat o yaas phir safay bich gayi matam ki sada goonj uthi naam lene se mere dil ko aata hai chain ya hussain...
mere maula meri har saans tere gham pe nisaar hai hawa sog may doobe huwe parcham pe nisaar hai tere matami maula tere matam pe nisaar zeb e tan kaale libas sabke chehre hai udaas ranj o gham hasrat o yaas phir safay bich gayi matam ki sada goonj uthi naam lene se mere dil ko aata hai chain ya hussain...
haye ye chashme tasavvur jo gayi karbobala teri gardan pe jo chalta hua khanjar dekha khaak udaate hai isi gham may sabhi ahle aza zeb e tan kaale libas sabke chehre hai udaas ranj o gham hasrat o yaas phir safay bich gayi matam ki sada goonj uthi naam lene se mere dil ko aata hai chain ya hussain...
jab bhi kartaas pe mazhar ne likha haye hussain maine rote huwe safdar ye kaha haye hussain yun laga saare jahan may hai sada haye hussain zeb e tan kaale libas sabke chehre hai udaas ranj o gham hasrat o yaas phir safay bich gayi matam ki sada goonj uthi naam lene se mere dil ko aata hai chain ya hussain...
|
|