kashtiye deene khuda ka na khuda hussain ya hussain ya hussain
hamay na jaho saltanat na taqt o taaj chahiye baland tha jo taqt se magar mizaaj chahiye shaheede karbala ka bas dilon pe raj chahiye ya hussain ya hussain
hamara rishta hussain se hai bas ek rishta hussain se hai
zohair o muslim ibne ausaja shabeeb ki tarha janabe hurr ke aur john ke naseeb ki tarha hamay ye faqr hai ke hazrate habeeb ki tarha hamara rishta hussain se hai bas ek rishta hussain se hai
hai kaun apna chara gar hussain hai hussain hai hai kaun humse ba khabar hussain hai hussain hai hai kaun apna raahgar hussain hai hussain hai hai kaun dil may jalwagar hussain hai hussain hai hamara rishta hussain se hai bas ek rishta hussain se hai
har ek simt dehr may ya hussain ki nida har ek kaum ki har ek deen ki bhi hai sada kamaal to ye hai ke bud parast bhi ye bol utha hamara rishta hussain se hai bas ek rishta hussain se hai
hamara chara gar nahi koi hussain ke siwa hamara ba khabar nahi koi hussain ke siwa hamara raahgar nahi koi hussain ke siwa hamara rishta hussain se hai bas ek rishta hussain se hai
ye wo hussain hai mila hai jisko doshe mustufa yehi waqar e arsh hai yehi hai naaze kibriya ana minal hussain kehke ye nabi ne kehdiya isi sabak se aaj hum bhi de rahe hai ye sada hamara rishta hussain se hai bas ek rishta hussain se hai
hussain ko dilon may tum bithalo ay hussainiyo hussain ko nazar may tum basalo ay hussainiyo ye kehke apna dehr ko banalo ay hussainiyo hamara rishta hussain se hai bas ek rishta hussain se hai
sama se leke da samak hussain hi hussain ho zameen se aasman talak hussain hi hussain ho jahan jahan falak falak hussain hi hussain ho hamara rishta hussain se hai bas ek rishta hussain se hai
jahan pe gham hussain ka wahan pe bhi siyasatein jahan pe gham hussain ka wahan pe bhi kadooratein khuda ke waaste mita do dil ki ye ghalazatein munafiqat ko chor kar payak zaban yehi kahein hamara rishta hussain se hai bas ek rishta hussain se hai
rahenge yaume hashr bhi wohi to log shadman ghame hussain may kar rahe hai naala o fughaan ay majid apne paas aa na payega ghame jahan hamara rishta hussain se hai bas ek rishta hussain se hai
|
|