man kunto maula fa haza ali un maula jiska mai maula uska tu ali maula ya haider haider ya haider haider
mera ishq bhi tu wijdaan bhi tu meri jaan bhi tu imaan bhi tu mera qibla kaaba masjid mimbar mazhab aur quran bhi tu mera sayyed peer ameer bhi tu mera hadi wali imam bhi tu mera khwab bhi tu tabeer bhi tu aaghaz bhi tu anjaam bhi tu meri sham o sahar lehje ka asar mera haal khayaal kamaal bhi tu mera qaul o fayl sawaab jaza taqleed baqa ehwaal bhi tu ya haider haider... mera ishq bhi tu...
kyun khaak udaye dar dar ki bas ek kitaabe ishq pade haa chor de ye faani dunya bas ek jahan aabaad kare wo dekh najaf ka rasta hai aa us raste par saath chale har ek qadam ho- ali ali, haathon may alam ho- ali ali naaro ka bharam ho- ali ali, ye ishq na kam ho- ali ali wo dekh shehensha aur gada kehte hai najaf may sab milkar ya haider haider... mera ishq bhi tu...
sarkar e najaf ke raste may kya aashiq e hyder milte hai kahin raabiya basri aur buzar salman qaside padte hai kahin qambar maalik e ashtar hai kahin taar pe meesam chadte hai maula e qambar- ali ali, aaqa e abuzar- ali ali salman ka rehbar- ali ali, kahe maalik e ashtar- ali ali saqilaal qalandar kehta hai wallah ali ka mai naukar ya haider haider... mera ishq bhi tu...
maidan e qum may ahmed ne haider ko pukara hai maula haathon pe utha ke maula ne maula ko banaya hai maula shaahe mardan sher e yazdan la rayb hamara hai maula man kunto maula- ali ali, nabiyon ne pukara- ali ali waliyon ka sahara- ali ali, sab haare na haara- ali ali hai baara imamo may pehla har jung may pehla hai number ya haider haider... mera ishq bhi tu...
la rayb ali ke jaisa hi jee daar ali ka kunba hai jab jab bhi sada quran ne di ye jaan nichawar karta hai islam ki khaatir jeeta hai islam ki khaatir marta hai sajjad ka khutba- ali ali, zainab ka lehja- ali ali abbas ka naara- ali ali, hasnain ka saaya- ali ali awwal ho ke ausad ya aakhir is ghar may hai sab ke sab haider ya haider haider... mera ishq bhi tu...
ali jaanam ali jaanam ali jaanam ali jaanam ali jaan ast jo jaan'aanam, ali dar dast o dar'daanam ali deen ast o emaan'am, ali khuld ast o rizwanam ali aayat e quranam, ali aayat e subhaanam ali virde zaban e man, ali taaveeze jaane man ali raazo niyaz e man, ali soz o qudaaze man ali pushto panaahe man
ali ki baadshaahi hai, ali ism e elaahi hai har ek meezan may tola, zaban ke saath dil bola ali maula ali maula ali maul ali maula ali maula
ay mere maula mujhe apna bana le ek baar sada de mujhe najaf dikha de haideri bana de ya maula
|
|