wo mera akbar jo tha shadi se pehle mar gaya umme laila umr padti rahi ye marsiya
kis tarha dekhun jawano ko galay milte huwe jee na paungi mai apne naujawan ko bhool ke dekh kar saaya bhi lagta hai ke akbar hai mera wo mera akbar... umme laila umr bhar...
mai ne athara baras paala tha mere laal ko dil may hasrat thi ke akbar sar pe sehra baandh lo ek ghadi aayi ki ek naiza jigar may lag gaya wo mera akbar... umme laila umr bhar...
haye naize ki ani pahunchi kaleje may juhin maut ki hichki mere farzand ko aane lagi baap ne naiza jo khayncha dam pisar ka uth gaya wo mera akbar... umme laila umr bhar...
thi kabhi zainab se kehti aur kabhi kulssom se aise maa aakhir batao kis tarha zinda rahe jis ka athara baras ka laadla ab na raha wo mera akbar... umme laila umr bhar...
maine socha tha ki shadi hogi mere laal ki fatema sughra rahegi aur sakina bhi meri haye uska jism pamaal e sumay aspa hua wo mera akbar... umme laila umr bhar...
dasht may farzand ki baraat thi aise saji haye ek nazuk kaleja aur naize ki ani uska laasha maine dekha khoon may dooba hua wo mera akbar... umme laila umr bhar...
khoon ne hathon pe mehendi ki jagah chori nahi mere akbar ke lahoo se surkh hai saari zameen haye usko maut ne dulha nahi ban ne diya wo mera akbar... umme laila umr bhar...
ho bayan kaise mubarak umme laila ka bayan karbala may sham o kufa may madine may fughan poocha jab rehan kisi ne roke maadar ne kaha wo mera akbar... umme laila umr bhar...
|
|