shireen shireen... wada jo kiya hai wo nibhayega hussain noke naiza pe bhi gar hoga to aayega hussain
akbar o qasim o abbas ko bhi laayega shireen ghar tere akela nahi aayega hussain wada jo kiya hai...
tere ghar aayega shabbir to kuch bolay baghair saare ehwaal ghareebi ke sunayega hussain wada jo kiya hai...
saath may zainab o kulsoom bhi honge uske raunaqe yun bhi tere ghar ki badhayega hussain wada jo kiya hai...
jeete ji royegi tu dekh jin tohfon ko tohfe kuch aise tere waaste layega hussain wada jo kiya hai...
jab teri galiyon se hoga tere maula ka guzar tere ghar se qadam aagay na badhayega hussain wada jo kiya hai...
ye bata shireen tu pehchan to legi usko jab sare noke sina ghar tere aayega hussain wada jo kiya hai...
shireen dil apna tu us waqt sambhale rakhna jab behan kehke tujhe paas bulayega hussain wada jo kiya hai...
shaah ay noor ali karte thay shireen se bayan jo tere dil may kasak hai wo mitayega hussain wada jo kiya hai...
|
|