haye wo bekasi maqtal se aaya laashaye qasim bhai hassan ki yaad satane lagi zainab ne roke laashaye qasim pe ki buka wa hassan sabz qaba be khata qasima
kal tera jigar tukdo may bata tha aaj tera qasim tukdo may bat gaya wa hassan...
dunya ne tujhko chain se rehne diya tujhko zehr diya ye sitam khatm na hua ye zulm chalte chalte qasim tak aa gaya wa hassan...
ummat ne tere saath bada zulm ye kiya tukde hua kaleja tera wa musibata maqtal may tera qasim tukdo may batgaya wa hassan...
tha chand fatema ka sitam ki ghataon may ghar se chala janaza to teero ki chaon may qasim ka laasha dhoop may pamaal hogaya wa hassan...
tujhpar salaam ay mere mazloom-tar aqi qasim ki tarbiyat may kamo koi na rakhi akbar se pehle sheh pe qurban hogaya wa hassan...
lekin tujhe kafan to mayassar tha bhai jaan qasim to be-kafan hi gaya chor kar jahan kyun-kar na mere lab pe har dam ho ye buka wa hassan...
izne wigha hussain se jab mil nahi saka taveez tera saath may laaya wo mehlaqa dil thaam kar hussain ne be-saakhta kaha wa hassan...
paiwast jitne teer thay taboot may tere utne hi zakhm qasim e dilgeer ko lage farwa ke lab pe aaya is gham se marsiya wa hassan...
zainab ne roke mazhar o farhan ye kaha bhai hassan ka daaghe judaai hara hua ahle haram ne laashaye qasim pe ki buka wa hassan...
|
|