gir kar kabhi uthe kabhi rakha zameen pe sar ubhla lahoo kabhi to sambhala kabhi jigar hasrat se ki qayam ki jaanib kabhi nazar karwat kabhi tadap ke idhar li kabhi udhar uth baithe jab to zakhmo se barchi ke phal giray teer aur tan may gad gaye jab moo ke bal giray jangal se aayi fatema zehra ki ye sada ummat ne mujhko loot liya wa mohamada is waqt kaun haqqe rifaqat kare ada zainab se boli fatema zehra basad buka
unees sau hai zakhm tan e chaak chaak par zainab nikal hussain tadapta hai khaak par
kis chaah se paala isay aanchal may chupa kar mai jaagti rehti isay raaaton ko sula kar chakki bhi jo peesi hai to godhi may bitha kar kis haal may dekha hai isay dasht may aakar unees sau hai... zainab nikal...
hai kaun jo mazloom ko teero se bachaye seh roz ke pyase ko koi pani pilaye zakhmo may bhari khaak koi aake chudaye har laash uthayi hai isay kaun uthaye unees sau hai... zainab nikal...
abbas ke marne se kamar toot chuki hai akbar ke bichad jaane se beenayi gayi hai in aankhon may baysheer ki turbat bhi bani hai hai aakhri lamhaat ajal sar pe khadi hai unees sau hai... zainab nikal...
kuch daye may khanjar mere bache pe chalega afsos dam e zibha bhi pani na milega khanjar ki kayi zarbo se sar iska katega ghayoor hai beta hargiz na sahega unees sau hai... zainab nikal...
baakhi hai abhi jaan tera bhai hai zinda ghode kahin dauda na de be-dard hai aada haye haye koi bekas ko nahi poochne wala bhai se mohabbat hai to maqtal may chali aa unees sau hai... zainab nikal...
ye bain mai sunti hoo tere baba ali se ho jayenge pamaal abhi laash sabhi ke kuch marhale baakhi hai ghareeb ul watani ke ja haal zara dekh le is pyase aqi ke unees sau hai... zainab nikal...
aajiz hai yahan aa kar har ek sukhanwar farhan anees e shahe waala ho ke mazhar likh paaya nahi aaj talak koi wo manzar jab kehti thi zainab se mere bibi tadap kar unees sau hai... zainab nikal...
|
|