rehgayi dasht may tanha to watan yaad aaya pani paaya to har ek tishna dahan yaad aaya leke har cheez madine se chali thi zainab bhai ki laash pe pahunchi to kafan yaad aaya
tu be-kafan hai hussain behan be-rida hai
aayi thi madine se le kar mai apna bhara ghar bhai logon ne mera ghar loot liya bas paas rahi tanhai yah tashna lab tu raha hai behan be-rida hai tu be-kafan hai...
pani se tujhe mehroom rakha aur mujhko tere matam se tukde hai kaleja zainab ka ay bhai faqad is gham se sina par tera sar rakha hai behan be-rida hai tu be-kafan hai...
tu mere liye faryad kare mai tere liye ay bhai mazloom musafir teri bhai baaghi ki behan kehlayi ye gham is sitam se bada hai behan be-rida hai tu be-kafan hai...
laashe se tere aati hai sada sunti hai behan majaye ay kaash koi tadbeer bane aur zainab sham na jaye aseer e rasan khafila hai behan be-rida hai tu be-kafan hai...
mai qaidi bani aur sham chali mehmil na amari aayi zainab ke liye hai sab se bada tujhse bichadna bhai tujhe ye hi gham kha gaya hai behan be-rida hai tu be-kafan hai...
amma ki sada ye aati hai kyun loot liya pyase ko sar tera badan se kaat liya pamaal kiya laashe ko qateel e jafa tu hua hai behan be-rida hai tu be-kafan hai...
hai kaan sakina ke zakhmi abid ka muqaddar bedi naizon pe shaheedo ke sar hai sadaat bane hai qaidi abhi sham ka marhala hai behan be-rida hai tu be-kafan hai...
ghar tera khareeb e asr luta mai sham e alam may ujdi khoon tere baha be-jurm o khata hamsheer is gham may ujdi ter khoon se ye wafa hai behan be-rida hai tu be-kafan hai...
ta umr padhenge ye noha farhan aur mazhar rokar zainab ke baradar ke marqad par humne suna hai aksar shahe deen ka ye marsiya hai behan be-rida hai tu be-kafan hai...
|
|