tha karbala may ajab imtehane taygh e ali wo ek nanhi si mayyat wo jaan taygh e ali thi dard naak bahot dastan taygh e ali fazayein roti thi sunkar bayane taygh e ali
haye zulfeqar tadap ke karti thi maqtal may zulfeqar ye bain mai kaise khodun lehad ek bezuban ki hussain
duayein do meri himmat ko aazmate huwe dikhayi dete hai mujhko rasool aate huwe hassan ka haath hai qabze pa kapkapate huwe batool dekh rahi hai lehad banate huwe tadap ke karti thi... mai kaise khodun...
ye soch soch ke aankhon se khoon jaari hai ke jiski jhoole may maine nazar utaari hai usi ki qabr banane ki zimmedari hai ye imtehan to badr o ohad se bhaari hai tadap ke karti thi... mai kaise khodun...
mai aaj nanhi si turbat agar banaungi tamam umr ye manzar bhula na paungi palat ke qaime may maqtal se jab mai jaungi to kaise maadare asghar ko mai moo dikaungi tadap ke karti thi... mai kaise khodun...
ghareeb maa ki amanat ko kho nahi sakti mai apne kaandhon pa ye bojh dho nahi sakti kisi ke aankh ke aansu piro nahi sakti mai maamta ka safina dubo nahi sakti tadap ke karti thi... mai kaise khodun...
ye yaadgar hai ek beqaraar jhoole ki bula rahi hai tadap baar baar jhoole ki hai lakdiyon ko bahot intezar jhoole ki zameen ko saump doo kaise bahaar jhoole ki tadap ke karti thi... mai kaise khodun...
zameen e garm hai aur bezuban ka laasha hai lahoo galay ka na baasho ka doodh sookha hai mere khuda ye mera imtehan kaisa hai usi ki qabr banaun jo mujhse khela hai tadap ke karti thi... mai kaise khodun...
lehad banane ka asghar ki kaam mat saumpon sulagte dasht may ye intezaam mat saumpon jahan e sabr ka mujhko nizam mat saumpon jawab deti hai himmat imam mat saumpon tadap ke karti thi... mai kaise khodun...
rakhe hai nauhe may akhtar ne lafz chun chun ke kaleja phat-ta hai irfan sab ka sun sun ke jigar ke khoon se masayab ke khwaab bun bun ke malak bhi rone lagay aasman pa sir dhun ke tadap ke karti thi... mai kaise khodun...
|
|