ya ali ya ali ya ali... salaam ullah ala ahbabe kah ya ali asadullah ali, waliullah ali, asadullah ali, waliullah ali ya hyder ya hyder ya hyder...
jisko allah rakhe dost wo insan ali wajhullah ali rab ki hai pehchan ali hai lisanullah ali natiq e quran ali ay mere murshid o aaqa mere imaan ali barzaq o qabr may mehshar may nigehban ali door qadmo se na rakhna mujhe ek aan ali tujse jud jaunga maula to sawar jaunga mai tere ishq may dooba to ubhar jaunga salaam ullah ala... asadullah ali... ya hyder...
mere sarkar hussain ibne ali ke baba surq parcham ke nigehdaar jari ke baba gyara masoomo ke sardar sabhi ke baba qatle mohsin ke azadaar kali ke baba bibi kulsooom ke zainab ke misaali baba qayame aale mohammed ke jalaai baba salaam ullah ala... asadullah ali... ya hyder...
dushmane hyder e karrar khuda ka dushman dushmane rab ka nabi se nahi koi bandhan ibne marjaan ho ya muljim ho ya shimre jaushan arsh aur farsh pe dozhak ka yehi hai indhan labe quran se in logon pe laanat utri inki naslon may ali se na mohabbat utri lanatullah ala ada-eka ya ali asadullah ali... ya hyder...
aalame ishq may yakta hai muhibbane ali buzar o qambar o salman gadayane ali dostdaarane khuda saare rafeeqane ali hadh to ye hai ke khuda khud hai sana qane ali laal o jibreel nazar aate hai darbane ali shahiyan baat-te phirte hai faqeerane ali salaam ullah ala... asadullah ali... ya hyder...
char gham aise hai jinpar tha ali ka girya pehla gham hazrate hamza ka kaleja chidna doosra gham abu talib ka juda ho jaana teesra gham tha bada rehlate mehboobe khuda chohta gham tha ghame zehra jo lehad tak pahuncha dushmani hydare karaar ki roke na ruki badr ki aag thi jo karbobala tak pahunchi lanatullah ala ada-eka ya ali asadullah ali... ya hyder...
karbala kya hai charaghe sare aywane ali karbala kya hai bajjuz saayaye damane ali karbala kya hai sajaya hua maidane ali karbala kya hai azakhana armaane ali karbala kya hai azeezane ali ki mehnat karbala hogayi ehbaabe ali ki jannat salaam ullah ala... asadullah ali... ya hyder...
maqsade ishq e ali sarwar o rehan tha kya aayi ye masjide koofa ki fizaon se sada ishq kya ishq tha ma bain e khuda o banda tohfa e maut jo mashooq se aashiq ko mila kamiyabi ka ye andaz niraala dekha badke aashoq ne kaha fuzto be rabbil kaaba salaam ullah ala... asadullah ali... ya hyder...
|
|