rehaai milgayi zainab abhi yaadon ki qaidi hai watan to aagayi maa ki lehad par bain karti hai amanat apne bhai ki pase zindan chor aayi sakina ab andheri qabr may kis tarha soti hai sakina yaad aati
hawaein shaam aati hai to zainab chaunk jaati hai sakina yaad aati phupi bemaar sughra ko agar pani pilaati hai sakina yaad aati
alam abbas ka dekhe to palkein bheeg jaati hai ali akbar ke hujre may kayi yaadein satati hai kisi bachi ke kaano may nazar baali jo aati hai sakina yaad aati hawaein shaam aati...
lehad pe maa ki jab dukhda sunane ke liye jaaye aziyat patharon ki aur kabhi zindan yaad aaye na jaane rotay rotay kyon har ek gham bhool jaati hai sakina yaad aati hawaein shaam aati...
wuzoo karte huye pani ki thandak se larazti hai falak pe abid ab dekhe to shehzadi ye kehti hai madine may ye baarish to baras ke dil dukhaati hai sakina yaad aati hawaein shaam aati...
bahot yaadein bahot baatein abhi seene may baakhi hai rasan ke daagh durro ke nishan seene may baakhi hai tasavvur may ali asghar ko jab jhoola jhulaati hai sakina yaad aati hawaein shaam aati...
koi zindan ka dar khulne ka khissa bhi na dohraye kahin aisa na ho gham se meri dhadkan hi ruk jaaye rehaai ki ghadi may hind jab chaadar udaati hai sakina yaad aati hawaein shaam aati...
kabhi sughra jo seene se lipat kar sonay lagti hai behan abbas e ghazi tadap ke ronay lagti hai kabhi shabbir ka seena kabhi ghurbat rulaati hai sakina yaad aati hawaein shaam aati...
kabhi abid se chupti hai kabhi umme sakina se palat kar aayi hai jabse rehaai paake zindan se rehaai paane walon se kahan nazre milaati hai sakina yaad aati hawaein shaam aati...
nigahein phayr leti hai agar baqar nazar aaye agar baaton hi baaton may rasan ka zikr aajaye to aankhein bandh karke khaak par wo baith jaati hai sakina yaad aati hawaein shaam aati...
na bhooli na bhoolegi kabhi bazaar ka manzar baraste thay aseeron ke saron par jis ghadi pathar watan aakar bhi ek nanhi lehad khaabon may aati hai sakina yaad aati hawaein shaam aati...
kabhi rehan aur rizwan jaana qabre zainab par nazar aayega tumko dard may dooba ye ek manzar musalsal qabre zainab se yehi awaaz aati hai sakina yaad aati hawaein shaam aati...
|
|