shukria fatema zahra shukria hyder e karrar aap ne mujko banaya apne bete ka azadaar mam misli mai azadar e hussain risalat e man nabvi wilayat e man alavi ismat e man fatami sakhawat e man hasani izzat e man husaini ghairat e man abbasi
ye jo sharaf mujko mila aur kise rab ne diya goondha gaya mera khameer usme mili khaak e shifa unse muje hai khalk kiya aab e baqa, khaak e shifa, zohad o sakha, rab ki ata
khalq mujhe rab ne kiya sirf moharram ke liye aankh hai rone ke liye haath hai matam ke liye daulat e man kya iske siva farsh e aza, farsh e wila, ashk e aza, karbobala
seena hai kaaba e aza kaabe ka maulood ali rab ne jo meesakh liya dil may tha maujood ali aur karam mujh par ye hua dil jo diya , us may rakha, ishq e khuda, sheh ki aza
phehle wahan wird kiya sallu alai he ya hussain ab ye wazeefa hai mera sallu alai he ya hussain kaam hai ye dunya may mera nauha likha, nauha padha, nauha suna, kehta raha
ishq e ali mujko mila aur ghame karbobala jab bhi uthay mere qadam pahuncha sare farsh e aza qaidi koi yaadon may raha tauq e jafa, may tha gala, kehta raha, zainul leba
asr ka hangam e sitam bhool na pa'unga kabhi rayt ke teele pe khadi ek bahan roti rahi dekhi nahi phir aisi jafa khushk gala, kat'ta raha, khoon baha, kehta hua
baad e shah e karbobala ahle haram qaidi bane shaam talak aise gaye ek rasan bara galay binte ali thi mehve buka lehje may tha, sher e khuda , mehve buka, khutba diya
hoti hai maula ki ata likhta hai mazhar ka qalam mujh pe bhi irfan e aza hai ye shah e deen ka karam nade ali jo mujko mila shukr e khuda, khoon mera, meri tarha, kehne laga
|
|