chehlum ko karbala may jab aayi wo bibiyan sadaat e karbala har bibi kar rahi thi kuch is tarha se giriya sadaat e karbala
kuch bibiyan yahan hai kuch bibiyan wahan karti hui fughaan bikhri hui thi maqtal e sarwar may ja-bajan sadaat e karbala chehlum ko karbala may...
ek bibi dasht e khooni may jaati hai nehr par kehti ba-chashme tar abbas dene aayi hoo pursa sakina ka sadaat e karbala chehlum ko karbala may...
ghut ghut ke laadli teri zindan may mar gayi turbat wahin bani bhaiya wo qaid se na hui mar ke bhi juda sadaat e karbala chehlum ko karbala may...
akbar ki qabr par yun hui laila nauhagar dekha na saal bhar aayi hoo qaid e shaam se ab ho ke mai reha sadaat e karbala chehlum ko karbala may...
bano ye bain karti thi ay mere be-zuban maa dhoonde ab kahan batlade hai kahan mera asghar ay karbala sadaat e karbala chehlum ko karbala may...
qurban tere ay mere maajaye be-watan majboor thi behan zindan may mujhse teri amanat hui juda sadaat e karbala chehlum ko karbala may...
rote hai qaas o aam tera sunke ye kalaam ay shah ke ghulam nauha tera anees hai maqbool bhai ka sadaat e karbala chehlum ko karbala may...
|
|