roke zanjeer pukari tay ye kaisa hai safar qaid jab hoke chala sayyede wala ka pisar
raasta kaisa ye dushwaar hai kat-ta hi nahi qaafla bekas o mazloom ka rukta hi nahi paon sajjad ka zakhmi hai to uth-ta hi nahi khatm hoti nahi ay sham teri raah guzar roke zanjeer pukari...
phir sajjad ko saaye se utha dete hai aankh lag jaye to zanjeer hiladete hai kahin ruk jaye to durro se saza dete hai mane bemaar hua jaata hai sab khoon may tar roke zanjeer pukari...
bunta hi raha gham ke wo tane bane aayi sajjad ko maqtal ki hawa batlane ab sukoon paaun kahan jaake khuda hi jaane kaise hogi meri sughra ko madine may khabar roke zanjeer pukari...
natawani ka ye aalam hai ke chalna hai mohaal binte zera hai pareshan to sakina hai nidhaal haye asghar ki judaai se hai laila be-haal lab pe hai madar e baysheer ke haye asghar roke zanjeer pukari...
taabe har cheez imamat ke hua karti hai rehbar e haq ke ishare pe chala karti hai jisko dhaare pe bahade wo baha karti hai aur agar rok de hat jaye zameen ka mehwar roke zanjeer pukari...
qaid khane may sakina ne bhi dam tod diya apna rishta shahe mazloom se bhi jod liya ashk baatil ki hawaon ka bhi ruk mod diya haye zindan may gayi jaan se wo ghut ghut kar roke zanjeer pukari...
|
|