roke farmate thay har bibi se sarwar alwida ay meri bali sakina meri dukhtar alwida
dekhlo jee bhar ke mujhko hai shahadat an qareeb ab gala mera hai aur khaatil ka khanjar alwida
raat bhar ka ay behan dunya may mai mehman hoo subha hote qatl hoonga mai muqarrar alwida
sabr karna ay behan hargiz na karna bad-dua cheen lenge gar udoo balwe may chadar alwida
sab haram ko aur bachon ko tumhe saumpa behan aur tumhe saumpa khuda ko binte hyder alwida
baad mere ahle keen qaima jala kar lootenge aur phirayenge tumhay dar dar khule sar alwida
aan kar sunle wasiyat karle ab ruqsat hamay hai kahan ghash may pada sajjad e muztar alwida
|
|