imame waqt hai ranjeeda kaun sochega aa kisi roz isi dukh pe ikhatte roye
yaad karke lutay ghar ka manzar ro rahe hai imame zamana khaake karbobala daale sar par ro rahe hai imame zamana
tayrta hai nazar may wo manzar chal raha hai namazi pe khanjar waar hota hai sookhe galay par ro rahe hai imame zamana
bhool sakte nahi jalte qaimay bhool sakte nahi taaziyane bhoolay kaise wo zainab ki chadar ro rahe hai imame zamana
yaad hai unko ab bhi wo manzar jab baraste thay pathar saron par bibiyan shaam may thi khule sar ro rahe hai imame zamana
yaad karke luti chadaron ko yaad karke safar ke dukhon ko yaad karke sakina ke gowhar ro rahe hai imame zamana
yaad karke wo ghazi ke baazu yaad karke wo akbar ke gaysoo yaad karke wo zulme sitamgar ro rahe hai imame zamana
zikre karbobala ho raha hai aaj saara jahan ro raha hai aake khud aaj farshe aza par ro rahe hai imame zamana
al ajal al ajal kehne walon apne aamaal ko bhi dekho ba khuda ghaib may aaj tum par ro rahe hai imame zamana
ghaib may kar rahe hai duwayein jald ghaibat se baahar wo aayein badla karbla ka le jald aakar ro rahe hai imame zamana
aankh mere qalam ki hui nam kar rahi hai ye tehreer matam noor nauha raqam ho ye kyunkar ro rahe hai imame zamana
|
|