pamaal laasha dekh ke kehti hai bibiyan zahra ki tarha tooti hai qasim ki phasliyan
tukde pukaare dasht may labbaik ya hussain aa kar kaha jo maula ne qasim ho tum kahan pamaal laasha dekh ke...
pamaal jeete ji jo hua hai usay salaam ro kar lahoo ye kehte hai khud saahib-uz-zamaan pamaal laasha dekh ke...
aajao mere bhai talak bolay ye hassan qasim na lo hussain ki ghurbat ka imtehan pamaal laasha dekh ke...
ye keh ke kuch nishano ko sheh choomne lagay abbas dekho ragdi hai qasim ne aediyan pamaal laasha dekh ke...
tukde uthane laash ke sarwar ke saath saath zahra gayi hai dasht may jaane kahan kahan pamaal laasha dekh ke...
pamaal ho na laash chacha ki ye soch kar lipta hua sumon se hai farwa ka naujawan pamaal laasha dekh ke...
maadar karegi kis tarha dedaar aakhri haye sumon ke chand se chehre pe hai nishan pamaal laasha dekh ke...
lagta hai mujh ko mir takallum qayam se ab bhi sunayi deti hai farwa ki hichkiyan pamaal laasha dekh ke...
|
|